dil ke zaḳhmon ko hara karte hain
kyuun tujhe yaad kiya karte hain
in andheron ko hiqarat se na dekh
ye charaghon ka bhala karte hain
saari baten nahin maani jatin
bachche to zid hi kiya karte hain
itna socha hai tire baare men
ab tire haq men dua karte hain
parsa duniya men koi bhi nahin
aadmi saare ḳhata karte hain
ab to ghazlon ke havale se tira
zikr duniya se kiya karte hain
Leave a Reply