diloñ ko rahtā hai kuchh din bharam mohabbat kā
bigāḌ dete haiñ phir huliya ham mohabbat kā
ye vo huā hai jo barsoñ ġhubār uḌātī hai
dinoñ meñ jaatā nahīñ dost ġham mohabbat kā
havas dilātī hai mujh ko bhī ishtihā lekin
lihāz kartā huuñ terī qasam mohabbat kā
hamāre paas nahīñ ġham kā aur koī tiryāq
namīda āñkhoñ pe karte haiñ dam mohabbat kā
haqīqatan the kabhī ham nihāl jazboñ meñ
aur ab to ḳhvāb bhī aatā hai kam mohabbat kā
tumhāre saath bhalā kis tarah nibhegī ‘hasan’
tumhārā buġhz hai merā dharam mohabbat kā