jab tumhara zalimon se koi bhi rishta nahin
kis liye tum ne shaha phir zulm ko roka nahin
vaqt ke badle hue ruḳh ne panahen chhin liin
ham pas-e-divar baiThe hain magar saaya nahin
asman kuchh to bata ya imtihan hai ya saza
silsila zulm-o-sitam ka kis liye rukta nahin
sab ne kanTon hi pe chal kar paa.i hai manzil yahan
kamyabi ke safar men to koi tanha nahin
tajirana zehniyat le kar mila karte hain log
ab kisi ka bhi kisi se be-gharaz rishta nahin
phir zamane ke thapeḌo aao Takrate hain ham
main abhi TuuTa nahin huun main abhi bikhra nahin
us se bachhḌa to akela ho gaya ‘at.har-shakil’
ab kisi ke saath us ka pyaar ka rishta nahin
Leave a Reply