likh raha hai hamare chehron par
roz ik ḳhvab vaqt ka ḳhanjar
vo kahin aur so gaya ja kar
raat bhar jagta raha bistar
tez andhi se aur kuchh na hua
le ga.i mujh gharib ka chhappar
dekh kar us ko jhiil ki manind
phenkna hi paḌa hai mujhe kankar
ghar ki tarif men nahin aata
phir bhi kahne ko hai ye mera ghar
us ne phenka na tha miri janib
mere sar par laga magar patthar
ḳhvahishon ka alaav hai insan
dekh liije nigah se chhu kar
reza reza paḌa hai a.ina
sach ki taqdir to yahi hai magar
titliyan regzar aur dariya
kitna mushkil hai aarzu ka safar
Leave a Reply