vahi safar jo pas-e-karvan nahin hota
mira safar hai kabhi ra.egan nahin hota
main chahta huun ki arman dastaras men rahen
mujhe pata hai ki baam asman nahin hota
hazar chiḳhon men sunta huun us ki ḳhamoshi
koi bhi zaḳhm kabhi be-zaban nahin hota
agar vo dariya tire shahr se guzarta nahin
ravan to hota par itna ravan nahin hota
main aise jalta huun jaise ki bujh raha ho koi
tu aisi aag hai jis ka dhuan nahin hota
Leave a Reply