phiri hui miri ankhen hain tegh-zan ki taraf
chala hai chhoḌ ke bismil mujhe hiran ki taraf
banaya toḌ ke a.ina a.ina-ḳhana
na dekhi raah jo ḳhalvat se anjuman ki taraf
rah-e-vafa ko na chhoḌa vo andalib huun main
chhuTa qafas se to parvaz ki chaman ki taraf
gurez chahiye tul-e-amal se salik ko
suna hai raah ye jaati hai rahzan ki taraf
sara-e-dahr men so.oge ghafilo kab tak
uTho to kya tumhen jaana nahin vatan ki taraf
jo ahl-e-dil hain alag hain vo ahl-e-zahir se
na main huun shaiḳh ki janib na barhaman ki taraf
jahan-e-hadsa-agin men bashar ka varud
guzar habab ka dariya-e-maujzan ki taraf
isi umiid pe ham din ḳhizan ke kaTte hain
kabhi to bad-e-bahar aa.egi chaman ki taraf
bichhaḌ ke tujh se mujhe hai umiid milne ki
suna hai ruuh ko aana hai phir badan ki taraf
gavah kaun mire qatl ka ho mahshar men
abhi se saara zamana hai tegh-zan ki taraf
ḳhabar di uTh ke qayamat ne us ke aane ki
ḳhuda hi ḳhair kare ruḳh hai anjuman ki taraf
vo apne ruḳh ki sabahat ko aap dekhte hain
jhuke hue gul-e-nargis hain yasman ki taraf
tamam bazm hai kya mahv us ki baton men
nazar dahan ki taraf kaan hai suḳhan ki taraf
asiir ho gaya dil gesuon men ḳhuub hua
chala tha Duub ke marne chah-e-zaqan ki taraf
ye mai-kashon ki ada abr-e-tar bhi siikh ga.e
kinar-e-ju se jo uTThe chale chaman ki taraf
zahe-nasib jo ho karbala ki maut ai ‘nazm’
ki uḌ ke ḳhak-e-shifa aa.e ḳhud kafan ki taraf
Leave a Reply