• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Tum Hanste Kyun Ho

Tum Hanste Kyun Ho

azra-abbas

kya ab raat aise hi

guzar jaegi

ye raat hi to hai

jo tahlil ho jaati hai ek nuqte men

aur ghumti hai

mere gird kaale bhinbhinate hue

bhanvre ki tarah

vo mere kanon miri ankhon

meri gardan aur mere roen roen men

bhinbhinati hai

meri baghlon ke balon se ulajhti hui

mere jism ke kone khudron men

gudgudati hui

ye raat mere uupar phail jaati hai

achanak

odh leti hai mujhe

mere jism ki por por men

ek jal-tarang chhed deti hai

main niind men uthti huun

mira halq khushk ho raha hai

paani ka ek gilas thanda yakh

mere honton mere halq mere siine

ko tar karta hua

mere jism ki jal-tarang men mil jaata hai

main darvaze par dastak deti huun

tum sun rahe ho

raat ki jal-tarang mere jism se

phuut rahi hai

darvaza khulta hai

main tumhare aadhe nange badan ko

daboch leti huun

tumhari naaf ke gadhe men

naak ki nok ghusedti huun

tum muskura rahe ho

raat ki shararat mere jism par

phaile hue dekh kar

tum hanste

raat konon khudron men phail rahi hai

main tumhare kapde utaar deti huun

aur vo khel khelti huun

jo raat mere saath khel rahi thi

main tumhare jism ke gird

apni zaban apne danton aur nakhunon ke saath

bhinbhinane lagti huun

tum muskura rahe ho

tumhari muskurahat

mere jism ki poron ko aur khol rahi hai

main zakhmi kar deti huun tumhen

tum hans rahe ho

raat ke paron pe savar bhanvre ki tarah

mujhe bhinbhinate dekh kar

tumhari kushada ankhon ke kone

phailne lagte hain

tumhara jism akad jaata hai

nahin aaj tum

tum khilkhilate ho

main tumhare akde hue jism par

apni khuli hui poron ko rakh deti huun

tumhara jism raat ke jhaag se bhar jaata hai

tum hanste ho

hanste hi rahte ho

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jaun-eliya

Bad-dili Mein Be-Qarari Ko Qarar Aaya To Kya

poet

Marka Hi Marka Chaaron Taraf

Samjhe the Be-KHabar Jinhen Hushyar Wo Bhi Hain

wali-mohammad-wali

Wo Sanam Jab Sun Basa dida-E-Hairan Mein Aa

Haq Nahin Mujhko Shadmani Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet