jab ujala gali se guzarne laga
sab andheron ka chehra utarne laga
daur badla to main bhi badal sa gaya
be-gunahi se apni mukarne laga
shaam aa.i to tera ḳhayal aa gaya
aa.ina mere ghar ka sanvarne laga
ḳhushbuon ki tarah itr-danon men the
jab hava chal ga.i sab bikharne laga
ik ghazal kah sakun gar ijazat mile
ansuon ka ye jharna nikharne laga
Leave a Reply