mohabbat men koi tanha safar achchha nahin lagta
jo aa.uun lauT kar to apna ghar achchha nahin lagta
usulan pyaar aur nafrat hamesha saath rahte hain
tiri galiyon se logon ka guzar achchha nahin lagta
unhen to qatl karne par savab-e-ḳhuld milta hai
unhin ko pyaar ka ik bhi shajar achchha nahin lagta
zamane-bhar ke tum ko naz-o-naḳhre kyuun uThane hain
ḳhuda se ho na vabasta to Dar achchha nahin lagta
tumhare kaan ke jhumar men ho to dil uchhal jaa.e
tumhari aankh men janan guhar achchha nahin lagta
Leave a Reply