• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Wo Bagh Mein Mera Muntazir Tha

Wo Bagh Mein Mera Muntazir Tha

parveen-shakir

vo baagh men mera muntazir tha

aur chand tulua ho raha tha

zulf-e-shab-e-vasl khul rahi thi

khushbu sanson men ghul rahi thi

aai thi main apne pi se milne

jaise koi gul hava se khilne

ik umr ke baad main hansi thi

khud par kitni tavajjoh di thii!

pahna gahra basanti joda

aur itr-e-suhag men basaya

aine men khud ko phir kai baar

us ki nazron se main ne dekha

sandal se chamak raha tha matha

chandan se badan mahak raha tha

honton pe bahut sharir laali

galon pe gulal khelta tha

balon men piroe itne moti

taron ka guman ho raha tha

afshan ki lakir maang men thi

kajal ankhon men hans raha tha

kanon men machal rahi thi baali

banhon se lipat raha tha gajra

aur saare badan se phutta tha

us ke liye giit jo likha thaa!

hathon men liye diye ki thali

us ke qadmon men ja ke baithi

aai thi ki aarti utarun

saare jivan ko daan kar duun!

dekha mire devta ne mujh ko

baad is ke zara sa muskuraya

phir mere sunahre thaal par haath

rakkha bhi to ik diya uthaya

aur meri tamam zindagi se

mangi bhi to ek shaam mangi

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sharm-Alud Kahin Dida-E-Ghammaz Na Ho

abdul-ahad-saaz

Mizaj-e-Sahal-Talab Apna Rukhsaten Mange

poet

Ye To Malum Ki Phir Aaiyega

poet

Koi Baat Aisi Aaj Ai Meri Gul-ruKHsar Ban Jae

Rang Sare Apne Andar Raftagan Ke Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet