na guman rahne diya hai na yaqin rahne diya
rasta koi khula ham ne nahin rahne diya
us ne TukḌon men bikhera hua tha mujh ko jahan
ja uThaya hai kahin se to kahin rahne diya
saj rahe the ye shab o roz kuchh aise tujh se
ham ko duniya hi pasand aa ga.i diin rahne diya
ḳhud to baghi hue ham tujh se magar saath hi saath
dil-e-rusva ko tire zer-e-nagin rahne diya
ja-ba-ja is men bhi tere hi nishan the shamil
ham ne ik naqsh agar apne ta.iin rahne diya
ik ḳhabar thi jise zahir na kiya ham ne kabhi
ik ḳhazana tha jise zer-e-zamin rahne diya
ḳhud to bahar hue ham ḳhana-e-dil se lekin
vo kisi ḳhvab men tha us ko yahin rahne diya
asman se kabhi ham ne bhi utara na use
aur us ne bhi hamen ḳhak-nashin rahne diya
ham ne chheḌa nahin ashya-e-mohabbat ko ‘zafar’
jo jahan par thi paḌi us ko vahin rahne diya
Leave a Reply