ham turbat-e-bosida se murdar nikalen
auron ki zaminon se jo ash.ar nikalen
piT jaata hai paḌhte hi sar-e-bazm vo shahkar
aap apne ta.iin jaisa bhi shahkar nikalen
jan-kavi hai ye kaam nahin aap ke bas ka
ash.ar nahin shaam ka aḳhbar nikalen
khul ja.ega saara hi bharam ḳhush-suḳhani ka
mahfil se zara hashiya-bardar nikalen
alfaz ke nashtar ne jigar chiir diya hai
behtar hai zaban rok ke talvar nikalen
Leave a Reply