mire ḳhuda koi chhanv koi zamin koi ghar
hamare jaison ki qismat men kyuun nahin koi ghar
ai be-niyaz bata hashr kab muayyan hai
bahut larazne laga hai tah-e-jabin koi ghar
kamar pe laad ke chalte rahoge tanha.i
tamam umr milega nahin kahin koi ghar
makan banne se koi jagah bachi hi nahin
hua to karta tha pahle kahin kahin koi ghar
koi azaab tha jo saara shahr le Duuba
ki chhoḌte hain bhala is tarah makin koi ghar
Leave a Reply