aansu ki tarah dida-e-pur-ab men rahna
har gaam mujhe khana-e-sailab men rahna
vo abru-e-khamdar nazar aae to samjhe
ankhon ki tarah saya-e-mehrab men rahna
ghaflat hi men katte hain shab-o-roz hamare
har aan kisi dhyan kisi khvab men rahna
din bhar kisi divar ke saae men tag-o-taz
shab justuju-e-chadar-e-mahtab men rahna
virana-e-duniya men guzarte hain mire din
raton ko ravaq-e-dil-e-betab men rahna
mitti to har ik haal men mitti hi rahegi
kya taat men kya qaqum o sanjab men rahna
ghar aur bayaban men koi farq nahin hai
lazim hai magar ishq ke adab men rahna
ik pal ko bhi ankhen na lagin khana-e-dil men
har lamha nigahbani-e-asbab men rahna
Leave a Reply