ik makan aur bulandi pe banane na diya
ham ko parvaz ka mauqa.a hi hava ne na diya
tu ḳhuda ban ke miTa.ega hamen hi ik din
sar tire dar pe isi Dar ne jhukane na diya
muttahid hone ka jazba tha sabhi men lekin
muttahid hone ka mauqa hi hava ne na diya
tum pe chha jaate shajar bante jo nanhe paude
tum ne achchha hi kiya paanv jamane na diya
vo to amada tha bandon ki shikayat sun kar
kuchh farishton ne zamin par use aane na diya
aap Darte hain ki khul jaa.e na asli chehra
is liye shahr ko a.ina banane na diya
Leave a Reply