jab tak ki dil men dard na paida kare koi
kafir hai vo jo ishq ka da.ava kare koi
dil luTna hai kaam tira ai hasin na dekh
roya kare bala se ki taḌpa kare koi
ham muntazir hain kab se tamanna-e-did ke
band-e-naqab-e-husn magar va kare koi
maana ki vo vafa ke parastar hain magar
pas-e-yaqin jo ho to tamanna kare koi
vo muqtadi-e-ishq tha main huun imam-e-ishq
hargiz na mujh se qais ka charcha kare koi
Leave a Reply