shar aaj zafar-yab hai malum nahin kyon
achchha.i tah-e-ab hai malum nahin kyon
ik chiiz vafa jis ko kaha karti thi duniya
vo in dinon kamyab hai malum nahin kyon
duniya to mire saath nahin ja.egi phir bhi
duniya hi mira ḳhvab hai malum nahin kyon
rahta hai nikalne ke liye har ghaḌi betab
ankhon men jo sailab hai malum nahin kyon
vaise to paḌha likkha hai is daur ka insan
na-vaqif-e-adab hai malum nahin kyon
bechain mire zehn ko karti hai yahi baat
qudrat pas-e-sailab hai malum nahin kyon
mujh ko to sabab koi nazar hi nahin aata
gum jalva-e-mahtab hai malum nahin kyon
is dil ka har ik naaz uThata huun main lekin
har lamha ye betab hai malum nahin kyon
har rang zamane ka mayassar hai magar ‘shad’
ye zindagi be-ab hai malum nahin kyon
Leave a Reply