• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Roz-E-Hashr dun Tujhe Ai dad-Gar Jawab

Kya Roz-E-Hashr dun Tujhe Ai dad-Gar Jawab

ahmad-husain-mail

kya roz-e-hashr duun tujhe ai dad-gar javab

aamal-name ka to hai peshani par javab

ruk ruk ke hans ke yuun hi to de fitna-gar javab

deta hai aur lutf mujhe tera har javab

kis se misal duun tiri zulf-e-daraz ko

umr-e-tavil-e-khizr hai ik mukhtasar javab

mushkil ke vaqt dil hi se kuchh mashvara karen

kyuun den kisi ko ghair se ham puchh kar javab

karte hain sajda naqsh-e-qadam ko tamam log

hai khana-e-khuda ka tiri rahguzar javab

munkir-nakir puchhte hain daant daant kar

hon muntashir havas to kya de bashar javab

khuld-o-saqar ke biich men hai koi ishq-e-yar

hai pul-sirat ka ye miri rahguzar javab

kyuun sar jhuka raha hai zara aankh to mila

degi mire saval ka teri nazar javab

ghusse men yuun na aao ki ghussa haram hai

tum baat hi se baat ka do soch kar javab

zarron ki tarah khaak men hain ashiqon ke dil

gar tu kare saval to de rahguzar javab

main ne kiya salam to chilman men chhup gae

dar-parda degi ab nigah-e-parda-dar javab

hangama hashr ka sifat-e-gard rah gaya

tere khiram ka na hua fitna-gar javab

kya apne bhole-pan se kahen dam men aae ho

har baat ka jo dete ho ab soch kar javab

kya hoga khaak ho ke sar-e-charkh jaega

ye zer-e-pa saval vo bala-e-sar javab

likkha hai mujh ko ho gaya tera lahu safed

main bhi likhunga khuun se sar phod kar javab

behosh kar ke puchhte ho dil ka muddaa

deta bhi hai huzur kahin be-khabar javab

ghusse se kuchh kahun to vo kis tarah chup rahe

ik baat ka jo shaam se de ta-sahar javab

chitvan se taad jaate hain ‘mail’ ka muddaa

dil men idhar saval hai lab par udhar javab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Dam Koi Dam Ka Hai Mehman Alwidaa

KHWAJA GHULAM FARID

Bari Bezar Hin Zaton Sifaton

Dilbari Us ruKH-E-Dil-Ruba Ki Khaal-O-KHad Se Ibarat Nahin Hai

Bhai Badal Gaya Kabhi beTa Badal Gaya

poet

dil Hai Ghiza-E-Ranj Jigar Hai Ghiza-E-Ranj

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet