bahut der se khana khaya tha aaj
hamare hi ghar men valima tha aaj
tavajjoh na milne ka dukh hai bahut
ziyada hi ḳhud ko sanvara tha aaj
tumhari talab ko bhi Thukra diya
koi mujh men mere alava tha aaj
nahin aa.egi niind asani se
bahut der apnon men baiTha tha aaj
nazar rakhi ja.egi daftar men kal
main ghar lauTte vaqt taaza tha aaj
Leave a Reply