jo chaar adamiyon men gunah karte hain
khuda ki di hui izzat tabah karte hain
buton ke hote jo mah par nigah karte hain
qasam khuda ki bada hi gunah karte hain
bada hi zulm khuda ki panah karte hain
ham aah aah to vo vaah vaah karte hain
vo bosa dete nahin gore gore galon ka
tumhen gavah ham ai mahr-o-mah karte hain
buto tumhin pe fida hain buto tumhin pe nisar
yaqin na ho to khuda ko gavah karte hain
kabhi vo dekhte hain apne tegh o baazu ko
kabhi vo ghaiz se mujh par nigah karte hain
majal kya hai jo luun naam apne qatil ka
tumhin pe log magar ishtibah karte hain
khayal rakhte hain har vaqt dosti ka sharif
isi tarah se hamesha nibah karte hain
gunah kya hai jo dil se aziiz rakhte hain
bane ho yusuf-e-sani to chaah karte hain
agar ho sabr-o-qanaat ki daulat ai ‘parvin’
gada bhi karte hain vo hi jo shaah karte hain
Leave a Reply