aap yakta hue maza na hua
lutf hi kya jo dusra na hua
jaane kya hota hashr-e-zauq-e-nazar
ḳhair guzri ki samna na hua
vo shanavar huun bahr-e-hasti men
jo kabhi sahil-ashna na hua
hausla rah gaya vafa ka mujhe
vo kabhi ma.il-e-jafa na hua
kyuun chamakti hai barq nazd-e-qafas
ye bhi kya mera ashiyana hua
lutf uThata kisi ke jalvon ka
dil mira haa.e aa.ina na hua
shikva bedad ka to kya ‘maikash’
lab se naala bhi ashna na hua
Leave a Reply