jab bhi ye dil udaas hota hai
jaane kaun as-pas hota hai
ankhen pahchanti hain ankhon ko
dard chehra-shanas hota hai
go barasti nahin sada ankhen
abr to barah-mas hota hai
chhal pedon ki sakht hai lekin
niche nakhun ke maas hota hai
zakhm kahte hain dil ka gahna hai
dard dil ka libas hota hai
das hi leta hai sab ko ishq kabhi
saanp mauqaa-shanas hota hai
sirf itna karam kiya kiije
aap ko jitna raas hota hai
Leave a Reply