
Hayat Warsi
aah be-gana-e-asar to nahin
vo bhi ab mujh se be-ḳhabar to nahin
suuni suuni paḌi hai bazm-e-jamal
muntazir sab hain muntazar to nahin
raste kar rahe hain sargoshi
jazba paband-e-rahbar to nahin
kaaT den ik ummid-e-farda par
zindagi itni muḳhtasar to nahin
sirf gard-e-safar hai ai yaaro
kahkashan un ki rahguzar to nahin
jaane kab TuuT jaa.e tar-e-nafas
rishta-e-umr mo’atabar to nahin
ai ‘hayat’ a.ina hon kya jalve
sab yahan sahab-nazar to nahin

Leave a Reply