na ku-e-yar men Thahra na anjuman men raha
ada-e-naz se ye dil sara-e-fan men raha
hazaron tufan uTha.e hain vaqt aane par
lahu bhi ḳhaas ada se mire badan men raha
main ek rang tha rang-e-ḳhayal-e-avara
kisi dhanak men kisi rut ke pairahan men raha
ana hi thi ki na jhukne diya kabhi mujh ko
pahaḌ sar pe uTha kar bhi bankpan men raha
vo main hi tha ki koi aur tha nahin ma.alum
tamam umr jo mere hi jaan o tan men raha
safir-e-jan ke liye manzilen nahin hotin
koi paḌav bhi aaya to vo thakan men raha
uThi jo saif-e-sitam be-niyaz-e-maut-o-hayat
qalam-ba-dast khaḌa vadi-e-suḳhan men raha
Leave a Reply