ahd-e-vafa na yaad dila.en to kya karen
ham un ko hal-e-dil na suna.in to kya karen
jin se nahin hai aap ki manzil ko vasta
un raston se lauT na jaa.en to kya karen
vo har taraf hain samt ki jab qaid hi nahin
dair-o-haram men sar na jhuka.en to kya karen
mohkam hai rabt-e-ishq to nazdik-o-dur kya
aa.en to kya karen vo na aa.en to kya karen
maana ki ham ko tab-e-nazar hai na shauq-e-did
ruḳh se vo ḳhud hi parda uTha.en to kya karen
‘ashraf’ ko tha amal se ziyada karam pe naaz
kaam aa ga.i hain us ki ḳhata.en to kya karen
Leave a Reply