koi be-jan koi be-ghar nahin dekha jaata
roz tarrara-e-mahshar nahin dekha jaata
chhin le hairat-e-nazzara ye bina.i bhi
aankh hoti hai to manzar nahin dekha jaata
be-hisi shart hai jiine ke liye ye duniya
ḳham-e-abru hai ki ḳhanjar nahin dekha jaata
dekhiye ḳhusravi-o-munsafi-o-dad-rasi
taj-o-taḳht-o-zar-o-lashkar nahin dekha jaata
khel bachchon ka nahin sho.ala-e-sad-ḳhirman hai
gul-e-ḳhubi hai to chhukar nahin dekha jaata
diid ki shab thi ki butlan tha us da.ave ka
raat men mehr-e-munavvar nahin dekha jaata
Leave a Reply