• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mila to De Ke Judai Chala Gaya aaKHir

Mila to De Ke Judai Chala Gaya aaKHir

mila to de ke juda.i chala gaya aḳhir

hamare hisse men tanha safar raha aḳhir

agar ye tai tha ki har baat se mukarna hai

to saath dene ka va.ada hi kyon kiya aḳhir

use ḳhayal tha kitna jahan valon ka

isi ḳhayal men jaan se guzar gaya aḳhir

tazad-e-fikr ka ilzam kuchh durust nahin

kaha tha main ne jo avval vahi kaha aḳhir

vo mere dard mire gham ko banTne vaala

ik aur karb mujhe daan kar gaya aḳhir

tumhen yaqin tha ham dosti nibha lenge

hamen guman tha jis ka vahi hua aḳhir

faraz-e-dar se pahle ka vaqt mushkil tha

kisi ki yaad ke saa.e men kaT gaya aḳhir

jab iḳhtiyar tha tum faisla suna dete

tamam umr tazabzub men kyon rakkha aḳhir

main us ke haath se nikla hua zamana tha

vo meri khoj men nikla bikhar gaya aḳhir

main e’tibar ki duniya se kaT gaya ‘anvar’

kisi ke saath main itna bhi kyon chala aḳhir

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mehrban Pate Nahin Tere Tain Yak Aan Hum

Hae Re Ahd-E-Guzishta Ki Karam-Farmaiyan

Samundar Tishnagi Wahshat Rasai Chashma-E-Lab Tak

poet

Usne Puchha to Faqat Dard Ka Afsana Khula

Jo Teri Aankh Hai Pur-Nam Yahi Mohabbat Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet