vo taqaza-e-junun ab ke baharon men na tha
ek daman bhi to uljha hua ḳharon men na tha
ashk-e-gham tham ga.e yaad aate hi un ki surat
jab chaḌha chand to phir nuur sitaron men na tha
marne jiine ko na samjhe to ḳhata kis ki hai
kaun sa hukm hai jo un ke isharon men na tha
har qadam ḳhaak se daman ko bachaya tum ne
phir ye shikva hai ki main rah-guzaron men na tha
tum sa lakhon men na tha jan-e-tamanna lekin
ham sa mahrum-e-tamanna bhi hazaron men na tha
‘hosh’ karte na agar zabt-e-fughan kya karte
pursish-e-gham ka saliqa bhi to yaron men na tha
Leave a Reply