• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har sans Ko Mahkaiye Ab Der Na Kije

Har sans Ko Mahkaiye Ab Der Na Kije

har saans ko mahka.iye ab der na kiije

ik phuul sa khil ja.iye ab der na kiije

ik jaam mohabbat se masarrat se bhara jaam

chhalka.iye chhalka.iye ab der na kiije

sach kahta huun ik umr se pyasi hai ye mahfil

paimana-ba-kaf aa.iye ab der na kiije

savan ki ghaTa ban ke sulagti hui rut men

duniya pe baras ja.iye ab der na kiije

zanjir men jakḌe hue divanon ko apne

suuli se utarva.iye ab der na kiije

sannaTa har ik ruuh ko ab Dasne laga hai

ik giit koi ga.iye ab der na kiije

is ahd-e-sharar-bar pe phir amn ki shabnam

barsa.iye barsa.iye ab der na kiije

talvaron ne chamkaya hai maqtal ki zamin ko

talvaron ko dafna.iye ab der na kiije

ik aur hasin ḳhvab ki miT jaa.e shab-e-gham

‘dauran’ ko bhi dikhla.iye ab der na kiije

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab Mere Nazdik Suraj Mein Kami Paida Hui

KHirad Ai Be-KHabar Kuchh Bhi Nahin Hai

Halqa-E-Digaran Mein Shamil Tum

bashir-badr

Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si

Dasht Mein Hai Ek Naqsh-E-Rahguzar Sab Se Alag

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet