kahin se chand kahin se qutub-numa nikla
qadam jo ghar se nikala to rasta nikla
jalaya dhuup men ḳhud ko to ek saaya sa
hamare jism ki divar se laga nikla
tamam-umr bhaTakta raha main tere liye
tira vajud hi hasti ka mudda.a nikla
tumhari ankhon men sadiyon ki pyaas Duub ga.i
hamari ruuh se ehsas-e-karbala nikla
gurez karne laga hai tire ḳhayal se bhi
hamara dil bhi tiri tarah bevafa nikla
mira hi naam kabhi ‘mir’ tha ghazal vaalo
na.e safar men bhi mera hi naqsh-e-pa nikla
charagh ghar men jala chhoḌ kar ga.e the ‘shakil’
safar se lauTe to sab kuchh bujha bujha nikla
Leave a Reply