agarche be-hisi-e-dil mujhe gavara nahin
baghair tark-e-mohabbat bhi koi chara nahin
main kya bata.un mire dil pe kya guzarti hai
baja ki gham mire chehre se ashkara nahin
havas hai sahl magar is qadar bhi sahl nahin
ziyan-e-dil to hai gar jaan ka ḳhasara nahin
na farsh par koi jugnu na arsh par taara
kahin bhi soz-e-tamanna ka ab sharara nahin
ḳhuda kare ki fareb-e-vafa rahe qaa.em
ki zindagi ka koi aur ab sahara nahin
Leave a Reply