jaam Takrao! vaqt nazuk hai
rang chhalkao! vaqt nazuk hai
hasraton ki hasin qabron par
phuul barsao! vaqt nazuk hai
ik fareb aur zindagi ke liye
haath phailao! vaqt nazuk hai
rang uḌne laga hai phulon ka
ab to aa jaao! vaqt nazuk hai
tishnagi tishnagi! are tauba
zulf lahrao! vaqt nazuk hai
bazm-e-‘saghar’ hai gosh-bar-avaz
kuchh to farmao! vaqt nazuk hai
Leave a Reply