• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ibtida-E-Ishq Hai Lutf-E-Shabab Aane Ko Hai

Ibtida-E-Ishq Hai Lutf-E-Shabab Aane Ko Hai

ibtida-e-ishq hai lutf-e-shabab aane ko hai

sabr ruḳhsat ho raha hai iztirab aane ko hai

qabr par kis shaan se vo be-naqab aane ko hai

aftab-e-sub.h-e-mahshar ham-rikab aane ko hai

mujh tak us mahfil men phir jam-e-sharab aane ko hai

umr-e-rafta palTi aati hai shabab aane ko hai

haa.e kaisi kashmakash hai yaas bhi hai aas bhi

dam nikal jaane ko hai ḳhat ka javab aane ko hai

ḳhat ke purze nama-bar ki laash ke hamrah hain

kis DhiTa.i se mire ḳhat ka javab aane ko hai

na-umidi maut se kahti hai apna kaam kar

aas kahti hai Thahar ḳhat ka javab aane ko hai

ruuh ghabra.i hui phirti hai meri laash par

kya janaze par mere ḳhat ka javab aane ko hai

bhar ke saaqi jam-e-mai ik aur la aur jald la

un nashili ankhḌiyon men phir hijab aane ko hai

ḳhana-e-tasvir men aane ko hai tasvir-e-yar

aa.ine men qadd-e-amdam aftab aane ko hai

phir hina.i hone vaale hain mire qatil ke haath

phir zaban-e-tegh par rang-e-shahab aane ko hai

gudgudata hai tasavvur chuTkiyan leta hai dard

kya kisi be-ḳhvab ki ankhon men ḳhvab aane ko hai

dekhiye maut aa.e ‘fani’ ya koi fitna uThe

mere qaabu men dil-e-be-sabr-o-tab aane ko hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aadmi Ki Hayat muTThi Bhar

Jaane Wale Itna Bata Do Phir Tum Kab Tak Aaoge

Ghungru Pe Baat Kar Na Tu Pail Pe Baat Kar

Us Sang-E-Astan Pe Jabin-E-Niyaz Hai

Kya KHabar Thi Wo Mata-E-Be-Baha Le Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet