ham un ke dar pe na jaate to aur kya karte
unhen ḳhuda na banate to aur kya karte
baghair ishq andhere men thi tiri duniya
charagh-e-dil na jalate to aur kya karte
hamen to us lab-e-nazuk ko deni thi zahmat
agar na baat baḌhate to aur kya karte
ḳhata koi nahin pichha kiye hue duniya
jo mai-kade men na jaate to aur kya karte
andhera mangne aaya tha raushni ki bhiik
ham apna ghar na jalate to aur kya karte
kisi se baat jo ki hai to vo ḳhafa hain ‘nazir’
kisi ko dost banate to aur kya karte
Leave a Reply