rang maila na hua jama-e-uryani ka
sar-o-saman hai hamen be-sar-o-samani ka
a.ina dekhe hai vo aur use a.ina
zor aalam hai dila alam-e-hairani ka
dam-e-hasti pe habab apni abas ubhre tha
aankh khulte hi maqam us pe khula faani ka
tishnagi ḳhaak bujhe ashk ki tughyani se
ain barsat men bigḌe hai maza paani ka
zulf gar khinch sake yaar ke tu shane se
haath yak-dast qalam kijiyega ‘mani’ ka
jhaḌ ga.i abar-e-bahari ki bhi sheḳhi lekin
na ghaTa zor mire ashk ki tughyani ka
ai junun roz rahe hai mire daman se laga
huun qadam-bos na kyuun ḳhar-e-bayabani ka
kyuun na angusht-numa hove hilal-abru
zor aalam hai tire qashqa-e-peshani ka
dil na chhuT zulf-e-butan chashm ka bandhe hai ḳhayal
yaad mazmun hai pareshan ko pareshani ka
jam-o-mina jo bane aabla o daagh ‘nasir’
dil ne saman kiya kis ki ye mehmani ka
Leave a Reply