hamare sar har ik ilzam dhar bhi sakta hai
vo mehrban hai ye ehsan kar bhi sakta hai
chaman tu apni baharon pe itna naaz na kar
shajar se husn ka zevar utar bhi sakta hai
vo jis ne ziist guzari hai qaid-e-zulmat men
vo ik kiran se ujale ki Dar bhi sakta hai
kahan tak aap laga.enge us pe zabt ke bandh
kabhi ye ankhon ka dariya biphar bhi sakta hai
ye ḳhaak o sang hi kya sat.h-e-ab par ‘sharib’
hamara naqsh-e-qadam hai ubhar bhi sakta hai
Leave a Reply