vahi barbadi-e-gulshan ka mujib the aur ab bhi hain
chaman saara ho is se ashna to kya tamasha ho
koi patta bina jis ke ishare ke nahin hilta
kaTahre men gar aa.e vo bala to kya tamasha ho
ḳhuda.i afaton se vo bala mar sakti hai lekin
kisi insan se ho ye hadisa to kya tamasha ho
tamasha des ka jis ne bana rakha hai sadiyon se
rakhen ham us se ummid-e-vafa to kya tamasha ho
main kya kya sochta rahta huun jaise baad ‘hasrat’ ke
hon jo ma.azul andaz-o-ada to kya tamasha ho
Leave a Reply