javani mai-e-arghavani se achchhi
mai-e-arghavani javani se achchhi
baqa jis men ho shai vo faani se achchhi
hamen maut us zindagani se achchhi
javani ho achchhi si achchhi kisi ki
na hogi tumhari javani se achchhi
ye mai shaikh ko nar-e-dozakh se badh kar
ye mai ham ko jannat ke paani se achchhi
hamesha ko ab ho gai aankh muusa
sada hogi kya lan-tarani se achchhi
agar pasbani mile tere dar ki
to khidmat nahin pasbani se achchhi
mila tuut kar ham ne tauba jo todi
nibhi chand din shaikh faani se achchhi
nishana bane dil rahe tiir dil men
nishani nahin is nishani se achchhi
tiri khush-bayani ka kya zikr vaaiz
khamoshi tiri khush-bayani se achchhi
javani to guzri budhape se bad-tar
guzar jaae piiri javani se achchhi
jo ulfat men hasil huiin qais tujh ko
ye nakamiyan kamrani se achchhi
‘riyaz’ aa raho tum jo sahir ke dar par
rahe maut bhi zindagani se achchhi