tamiz apne men ghair men kya tumhen jo apna na kar sake ham
har ek mahfil hui gavara tumhari mahfil se kya uThe ham
sahar pasheman-e-arzu hain charagh-e-shab the so jal bujhe ham
ḳhiraj ashkon ka ḳhun-e-dil se jo ham ko lena tha le chuke ham
na sham.a kanpi na giit Duube uThe jo ham un ki anjuman se
chalo bas achchha hua ki aise kahan ke mahfil-faroz the ham
na ham syahi na ham ujala charagh hain ashk-e-arzu ke
ki ham sar-dasht-e-be-karan hain sulagte rahte hain shaam se ham
nazar uThao to jhuum jaa.en nazar jhukao to Dagmaga.en
tumhari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayat ke ham
karen jo shikva zaban kahan hai zaban men tab-e-fughan kahan hai
kahan ka pardes kaisi ghurbat vatan ki galiyon men luT ga.e ham
hamari rudad muḳhtasar hai vafa kahan ki jafa kahan ki
ba-rang-e-gul muskura diye vo ba-tarz-e-shabnam bikhar ga.e ham
‘aziz-qaisi’ kahan rahe to ki raat us but ki anjuman men
hujum-e-naghma men zikr sun kar kisi divane ka ro paḌe ham
Leave a Reply