• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil-E-Shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai

Dil-E-Shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai

dil-e-shaida ki haqiqat mire maula kya hai

jaan hazir hai miri aap se achchha kya hai

ahmad aur ahmad-e-be-mim ka parda kya hai

aql-e-avval ko bhi hairat hai muamma kya hai

aap ke gham ne tan-e-zar men chhoḌa kya hai

malak-ul-maut ka ye mujh se taqaza kya hai

aish-e-imroz pe ḳhush hain gham-e-farda kya hai

maut aa jaa.e to mar ja.enge jhagḌa kya hai

ham to mad.hosh paḌe rahte the mai-ḳhane men

kya ḳhabar katib-e-amal ne likkha kya hai

aaj tak shahr-e-ḳhamoshan ka na kuchh haal khula

log kya dekhne jaate hain tamasha kya hai

arsa-e-hashr men hai aaj qayamat ki giraft

ab bata.e to koi nazish-e-taqva kya hai

sar to ham bhi na jhuka.enge subuk-sar ho kar

charḳh dushman hai to dushman sahi hota kya hai

tum se haT kar kahin paḌti hi nahin meri nazar

tum tamanna ho miri aur tamanna kya hai

du-badu kyuun na kahun tum se jo kahna hai mujhe

dil men ghuT ghuT ke jo rah jaa.e vo shikva kya hai

gul ke daman pe kahin ḳhuun ka dhabba na lage

tarz-e-fariyad ye ai bulbul-e-shaida kya hai

mushkilen sainkaḌon har gaam pe pesh aati hain

DhunDne valon ne tujh ko abhi paaya kya hai

kya bata.un dil-e-ranjur ki halat tum ko

vo to har roz ka bimar hai achchha kya hai

kalima paḌhta hua qabr men utra huun main

mere maz.hab ko nakirain ne samjha kya hai

ik na ik fikr lagi rahti hai har dam mujh ko

fikr-e-duniya men paḌa huun gham-e-uqba kya hai

bada-noshon ke dua karte hi badal umDe

aql hairan hai zahid ki ye hota kya hai

shab-e-me.araj ki kya shaan hai allah allah

aaj dekhe to koi arsh-e-mualla kya hai

ab ke bhi rauza-e-aqdas pe rasa.i na hui

aur phir shumi-e-taqdir ka rona kya hai

ai falak ham tujhe zalim nahin kahte lekin

ghaur se sun ki sada-e-lab-e-duniya kya hai

gham-e-ulfat ki tavazo.a ki jigar hai maujud

aur maqdur mera is se ziyada kya hai

murde ji uThte hain jab naam tira sunte hain

ham se puchhe koi ejaz-e-masiha kya hai

maslahat ye hai ki iz.har-e-mohabbat na karun

maut hai mere liye arz-e-tamanna kya hai

dil-e-raushan ko samajh ka.aba-nashin ki manzil

dair kahte hain kise aur kalisa kya hai

kabhi botal ko uThata hai kabhi saghar ko

nahin malum ki ‘rasiḳh’ ka irada kya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Aalam-E-Imkan Mein Jise DhunDh Raha Hun

poet

Hum Na Mahzuz Hue Hain Kisi Shai Se Aise

Tabinda Husn-E-Raaz-E-Bahaaran Hamin Se Hai

Sanp Ne Ghaar Mein Rihaish Ki

poet

Pahle to Shahr Bhar Mein Misal Aaine Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet