kal raat dil men yadon ka mela laga raha
maazi ko chashm-e-hal se main dekhta raha
tere baghair ji to na sakte the ham magar
gham tera zindagi ka sahara bana raha
munh men zaban na rakhte the teri gali ke log
main pattharon se tera pata puchhta raha
zindan-e-ehtiyat men guzri tamam umr
main jurm-e-agahi ki saza katta raha
shal ho gaya vajud to ‘abid’ khula ye bhed
main jis ko dhundhta tha vo mujh main chhupa raha
Leave a Reply