• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Ho Meri Zist Ka Hasil Shahzade

Tum Ho Meri Zist Ka Hasil Shahzade

fauziya-rabab

tum ho meri ziist ka hasil shahzade

tod na dena tum mera dil shahzade

apne andar tum ko dekh rahi huun main

aina hai mere muqabil shahzade

sim-o-zar par itrate the dekho ab

ishq nagar men ban gae saail shahzade

shahzadi ne dil haara aur jiiti jang

mal-e-ghanimat men tum shamil shahzade

vasl ki rut ka ab to istiqbal karo

kuuk rahi hai baagh men koyal shahzade

shahzade ye duniya fikr men ghaltan hai

jab se main huun tum par maail shahzade

dagar dagar main bhatak rahi huun aaj talak

tujh se bichhad kar kaisi manzil shahzade

ik janib tu dusri janib teri ‘rabab’

ek zamana beach men haail shahzade

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Udasi Ki Ye Aadat Hi Kahan Thi

Mere Andar Kahin Par Kho Gai Hai

miyan-dad-khan-sayyah

Nahin Milta dila Hum Ko Nishan Tak

poet

Mustamindan Ko Sataya Na Karo

bhaTka Karunga Kab Tak Rahon Mein Teri Aa Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet