Tan-E-Nahif Ki KHatir Rida Nahin Mangi

tan-e-nahīf kī ḳhātir ridā nahīñ māñgī

bahut dinoñ se ḳhudā se duā nahīñ māñgī

ḳhud apnī laash ko apne lahū se Dhāñpā hai

harī rutoñ se guloñ kī qabā nahīñ māñgī

chhatoñ pe pyaas paḌāv kiye rahī lekin

siyāh-baḳht gharoñ ne ghaTā nahīñ māñgī

koī shajar na ḳharīdā ḳhulūs-e-jāñ ke evaz

shadīd dhuup meñ ThanDī havā nahīñ māñgī

sukūt-e-marg laboñ ko pasand hai itnā

jo musta.ār mile vo sadā nahīñ māñgī

nuzūl-e-mausam-e-tahqīr-e-jāñ se bachne kī

gulāb aise badan ne duā nahīñ māñgī

Leave a Comment