ghurur-e-zabt se ah-o-fughan tak baat aa pahunchi
havas ne kya kiya dil se zaban tak baat aa pahunchi
sukun-e-dil se naqus o azaan tak baat aa pahunchi
ḳhuda valon ki himmat se kahan tak baat aa pahunchi
ḳhilafat se jabin o astan tak baat aa pahunchi
ḳhuda aur ibn-e-adam men yahan tak baat aa pahunchi
mili thi aankh aur ah-o-fughan tak baat aa pahunchi
zara si baat thi lekin yahan tak baat aa pahunchi
hamari dastan men zikr-e-qais-o-kohkan aaya
vahan se phir hamari dastan tak baat aa pahunchi
Leave a Reply