kitab-e-hijr men ik harf-e-na-rasa ki tarah
mujhe bhi likhe koi john fariha ki tarah
bhale ye haath bandhe hain magar ye kajal hai
so phail jaata hai ik kasa-e-gada ki tarah
vo mujh se milta tha har baar apni sharton par
kabhi ḳhata ki tarah aur kabhi saza ki tarah
mujhe satati rahen titliyan shararat se
gulon ki baat vo karta raha saba ki tarah
jo baat karta tha mujh se mire hi lahje men
na aaya lauT ke vapas miri sada ki tarah
ye baat tai thi ki rahna hai ajnabi ban kar
so oḌh li tiri beganagi rida ki tarah
hamare biich agar kuchh nahin to phir kya hai
nibhate rahte hain donon jise vafa ki tarah
mujhe hi jaldi thi kuchh kaam aur nipTa luun
vo aa ke baiTha tha achchha bhala sada ki tarah
kisi ke hathon ki garmi se jab mili ThanDak
tu yaad aa ga.i ‘sima’ mujhe rasa ki tarah
Leave a Reply