hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai
lahu ummid ka ham se talab hota hi rahta hai
nikalti hi nahin dil se kabhi yaden mohabbat ki
sitam us dil pe apne roz-o-shab hota hi rahta hai
purane log rahte hain nigahon men sada meri
koi pesh-e-nazar nam-o-nasab hota hi rahta hai
koi surat tabahi ki nikalti rahti hai aksar
ujaḌne ka koi taaza sabab hota hi rahta hai
hamesha ḳhuun karte hain hamari arzuon ka
tamannaon ka nazrana talab hota hi rahta hai
ye laḌna aur jhagaḌna hai sabhi ma.amul ki baten
ḳhafa ham se vo aksar be-sabab hota hi hota hai
sitaron ki taraf uThti hi rahti hai nazar apni
shab-e-tarik men aisa to sab hota hi rahta hai
qayamat hoti rahti hai bapa ab shahr men har-su
yahan mahshar bapa ai dost ab hota hi rahta hai
suḳhan pamal hota hai ‘nabil’ is ahd men har pal
yahan pamal har lamha adab hota hi rahta hai
Leave a Reply