ye hadisa mujhe hairan kar gaya sar-e-sham
jo zakhm subh mila tha vo bhar gaya sar-e-sham
mile the ham kahin kar-e-jahan ke mele men
use bhi jaldi thi aur main bhi ghar gaya sar-e-sham
ye aaj kis ko achanak mira khayal aaya
charagh raah men ye kaun dhar gaya sar-e-sham
khayal-e-yar ki fursat bhi ab kise hai nasib
ye phuul subh khila aur bikhar gaya sar-e-sham
tamam din ki thakan se main bujh raha tha magar
kisi ki yaad ka chehra nikhar gaya sar-e-sham
shab-e-firaq ka ahval yaad aa hi gaya
phir ek tiir sa dil men utar gaya sar-e-sham
ye subh-o-sham mire is qadar hi mere hain
ki ji utha huun sahar-dam to mar gaya sar-e-sham
Leave a Reply