kaisa ajab tamasha dekh raha huun
aalam aalam saaya dekh raha huun
zarra zarra TuuT rahi hai dharti
ḳhud ko jaise luTta dekh raha huun
rasta rasta sahl hua hai chalna
aage aage saaya dekh raha huun
mausam mausam phail rahi hai ḳhushbu
duur se tujh ko aata dekh raha huun
bauchharon men baras rahe hain badal
aur main ḳhud ko jalta dekh raha huun
Leave a Reply