jo mansabon ke pujari pahan ke aate hain
kulah tauq se bhari pahan ke aate hain
amir-e-shahr tiri tarah qimti poshak
miri gali men bhikari pahan ke aate hain
yahi aqiiq the shahon ke taaj ki zinat
jo ungliyon men madari pahan ke aate hain
hamare jism ke daghon pe tabsira karne
qamisen log hamari pahan ke aate hain
ibadaton ka tahaffuz bhi un ke zimme hai
jo masjidon men safari pahan ke aate hain
Leave a Reply