zamane ke darbar men dast-basta hua hai
ye dil us pe maa.il magar rafta rafta hua hai
achanak hi hathiyar vaale nahin saḳht-jan ne
jigar vaqt ke saath ḳhasta shikasta hua hai
kahin andar andar sulagti thi chingari koi
magar hadsa aḳhir-e-kar sham-e-guzishta hua hai
ka.i baar jallad ne khinch dekha hai us ko
magar munjamid daar ka sard taḳhta hua hai
ḳhabar-dar rahne laga shahryar us se ‘yasir’
qalam mere hathon men ḳhanjar ka dasta hua hai
Leave a Reply